kuch iss qadar neend
meri aankhon mai,
maano sapno ki patri par se utri,
teri baahon mai aa giri.
shayad ye nazar ka dhokha,
ya phir kismat ka woh khel—
kya sach, kya khwaab,
ek kitaab ka woh panna—
sambhlna mushkil,
teri aankhon man samana namumkin.
lekin likha har lafz dohrata,
wahi sur, wahi taal, aur wahi geet.
mera gungunana, tujhe sunana,
aur tera naam mere hoton par aate hi
sharma jana.
khwabon mai hi sahi,
kam se kam kareeb toh *** tere.
asliyat mai kaha mauka,
kahan ijazat,
jab kareebi teri kisi aur ke saath,
aur naseeb mera,
mera haath pakde hue.
milte milte maano reh se gaye