Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey May 2019
na vasta raha ab mera in sab se,
na kisi aur se aur na hi rab se,
meri jindagi tum ** meri bandagi tum **,
na koi aur chahat,
meri jine ki khwahish bas tum **,
ab to bas pyaar karna chahta hu tumhe,
na vaasta raha ab mera in sab se,
na kisi aur se na hi rab se.....
dil me khwahish bas tumhe pane ki,
sath jine ki aur sath mar jane ki,
ek tu jo mil jaye,
mukammal shayad ye jindagi ** jaye,
na jane aur kitna door jaoge,
ab aa jao,
mai raah dekh raha hu kab se,
na vaasta raha ab mera in sabse,
na kisi aur se na hi rab se......
hai dil me kasak tumse door jane ki,
tumhe paa  lene ki aur fir se kho dene ki,
tum hi ** k ab tak banaya hua mujhe insaan,
na hote tum agar,
mai to kab ka door ** gaya hota is shahar se,
na khush hota kabhi,
na ghabrata kisi gam se,
na vaasta raha ab mera in sabse,
na kisi aur se na hi rab se.....
tum har pahar yaad aati **,
paas aakar fir door chali jati **,
kuj aur pana nahi mai chahta,
ek tum hi ** jise chahta hu mai shiddat se,
hai khayal tumhara hi is dil me,
tum aarjoo ** meri,
bas chahta hu tumko dil k har kone se,
ab rooth bhi nahi pata mai tumhe khone k dar se,
na vaasta raha mera ab in sab se,
na kisi aur se na hi rab se.......
i love u
Manvee Chauhan May 2020
Khushi Ka ek Naya daurr sa shuru hua tha....
Jo shayad mukammal hone se pehele hi khatm hone ki raah chun chuka tha!!!
Ye Zindagi hi badi ajeeb hai....
Shayad ise jeene k liye Chahiye ek behtar naseeb hai!!!!
Or naseeb k to kya hi kehne..
Hamari Zindagi mein to Hain sirf dukh - dardd na hi Khushi k khoobsurat gehne !!!
Sochte Hain ki ab nayi Zindagi ki shuruwaat kr hi lein....
Lekin hum kya jaanein ki Safar mein to iske Bhi khoonkhaar kaante biche Hain!!!
Lekin kab tk jakde rakhenge khud ko in darr ki bediyon mein ...
Sochte Hain ki ab jee hi lein in khubsurat Himachal ki vaadiyon mein!!
Shayad sb is baat se anjaan Hain ki hum Bhi Kabhi Kuch likhne ki himaakat kr lete Hain.....
Chalo Acha hi h, jee Lene dete Hain unhe is bhram mein ki hum har cheez mein nakkamyab rehte Hain!!!
                                              @HeartlyxPoems
venkatesh anand Dec 2018
Main aksar apne jazbaat chupa liya krta ***',
Khamosh raaton mein kabhi khud ko hansa ya thoda rula liya krta ***',
Jaanta *** jindgi mein ab mukammal nahi hai ishq tera',
Par har waqt naam bas tumhara he liya karta ***',
Zindagi us khuda ki banai bisaat hai jis k hum sab mohre hai..
Uske dar tak k raaste me.. Nashukro k liye kohre hi kohre hai

Jo behtar khel jayega wohi jeet jayega..
Par ye hoga tabhi Jab woh behatreen akhlakh apnayega


Khelte khelte kai to fanah ** gaye..
Kai Sikandar..****** jaise tabah ** gaye..
Maiyyat se khali haath bahar le kar is duniya se wida ** gaye

Rubaru apne kafan se jo jeete ji ** gaye..
Mukammal jahan unhi ko mila..jo khuda ki panah me ** gaye

Zindagi me jinhone ilm rakha us khuda ko Yaad karna..
Namaze adda kari..Gurbani paddi.. Granth padde..Hukumname diye..
khuda ne hosle itne buland kr diye..Apne noor se sabhi manzilo..Jannat k raaste unhi k liye Roshan kar diye

Zindagi me Naam..Shoharat unhe bahut mili..jinme alfazo se khelne ha hunar aa gaya..
Sir chad k jinke ye inayat na boli..woh us khuda ko tah umra bha gaya😊
cyn Sep 12
dil ki ye gustakhi maaf ki jaye.
kuch iss nazariye se dekhiye—
ki dil, dimaag, aur rooh ko bhi choo jaye.
ye kehne ka tareeka, aankhon ka nageena,
maano paheli si hoh koi...
suljhane baithe toh dil ke taar ulajh gaye.
ab kehne ke liye tasalli rakhi—
darr, aur mukhtam—dono hi mukammal kar chuke.

deewangi woh ek aisi bala,
choote choote reh si gayi—
itne kareeb the, kuch pal ke liye hi sahi,
ek phool ka woh kaanta,
jisne ghaav toh diye,
par dekhkar use,
befikra bankar, hum chalte chale hi,
kahin kho se gaye.
nazdeekiyan badhti chali gayi—
aur ab, waqt ka dariya:
jagah itni, ki iski dor bhi pakadke,
dooor se kheecho,
toh bhi ye na jud sake.

kya ye kismat?
teri—phir meri?
ki saath rehne bhi chahein,
toh bhi saath na reh sake…
aur maano, kehne ko—
wakt, naseeb, jazbaat se lad bhi lein—
par iss dil–dimaag ke khel mein,
phas kar, bikhar kar,
mar hi jaaye,
toh aisa kya rishta,
aur kya ummeed,
jisme khel tumhara

manzar se guzar kar,
galiyon ke uss paar
baitha koi ek woh shaks,
jo dikha dega mujhe meri sahi raah.
kya aisa koi jeena,
jo tumhaare kareeb rehne dega?

doori rahe, par phir bhi—
aankhen wahi sab khayaal padhti,
gun gunati,
ek doosre mein samaati rahein.
kehne ko hum do,
alag.
bilkul—bewajah, bekhayal.
uss mod par mudte hue,
shayad ye aakhri baar.
aakhri saans.
par kya—
kya koi sun bhi sakega?

laal rang ki woh ek dor,
jisne pakad rakha,
rok rakha hai.
jaana tujhe hai—
tera raasta koi aur.
par baithe hue hum yahi.
tu agar kabhi mud ke aaya bhi,
toh milengi bas yahi kahin.
dekh toh lega,
ya
tu bhi bhula dega...?
likhne ke liye kaha kuch mere paas?

— The End —