Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Lovish Uppal Jan 2016
Shaam ki sardi mein
Jab ghar se hum nikle, 
Mast kuch bachchon ne yaad dilaya The hum bhi kitne befikre.

Beet gaya aane se pehle, 
Waqt kisi ka na hua.
Bachpan le gaya sang apne, 
Phir aaye mudke hai yehi dua.

Kashtiyan kagaz ki banake 
Chalate the paani mein, 
Yehi nahi baarishon mein ghoomne Nikalte the apni cycle pe.

Baarish ka anand nahi, 
Toofanon se darte hain ab,
Woh din bhi kya din the 
Jab apne se lagte the sab.

Kahaniyan sunke khud ko
Doobate us duniya mein, 
Na jhooth, na dikhava, 
Na dhokha tha usmein.

Dil mein thi ek bekarari hamesha, rehta tha khushi ka intezaar, 
Ab hai yakin kismat pe apni, 
Kabhi na lautenge ab woh din raat.
Hrithik Hiran May 2020
Kabhi chale ** un raahon pe
Jinse jude ** qisse kaafi tumhaare
Jin raahon pe hasi mazaak ki thi doston ke sang
Unnhi raahon mein tumne bhare the woh yaadon ke rang

Kabhi socha na tha ki
Akele bhi chalna padega kabhi
Goonjti hai woh awaaz tumhaari
Jab bhi chalta hu un raahon parr
Peeche mudke dekh bhi leta hu kabhi
Ke mehez dikh jaaye parchayi tumhari
Parr dikhte toh woh adhoore waadein he hein
Bebas karr rakhe hein mujhe jinhone

Woh baarish..woh dhoop
Sabka kiya tha saamna
Jab haath tha tumne mera thaama
Kya Yaad hai woh fool
Jo tod laayi thi tum uss ped se
Mere yaadon ke Gulshan mein
Khila hai woh fool kabse
Hasrat toh dekhiye
Woh ped bhi na sambhal paaya
Mujhe akela dekhkar
Woh bhi murjhaaya

Yahin chalte waqt kaha tha na
Ki chodogi nahi yeh haath kabhi
Chaahe fariyad ** jaaye humse harr koi
Tumhaare usi saath ki khoj mein hu
Jise laga liya tha apne rooh se kabhi
Sahi kaha tha uss shaks ne ki
Manzil nahi raahon mein junoon pao
Kyunki manzil toh pahuche he nahi the ke
Bewafa karr gayi mujhe uss raah pe akele
Kabhi Chalke dekhna
Inhi raahon pe akele
Yaad karna woh beetein hue qisse
Aur ** sake toh mudke dekhna
Dikhunga mein usi mod parr
Jaahan chod gayi thi mujhe..karke inkar
Kyunki badal liye tumne apne raahein
Jo kabhi samajh na paayi
meri yeh fitoor nigaahein
Some roads remind you of that special someone... This is about one such road... (Hindi)
Aryan Sam Mar 2018
Hanju hole hoge bhara lagge hasna,
Loki saare haal puchde,
Ohne puchya ee nahi,
Jihnu asi dasna,

Jaanda siyara saada dil kamzor e,
Mausam taan ohiyo par akh teri hor e,
Sheesha ghurda si..
Sheesha ghurda si chhad ditta takna,
Loki saare haal puchde,
Ohne pucheya ee nahi,
Jihnu asi dasna,

Bina gallon mud gaye on,
Mudke ni takyea,
Maan Maan aakhda sain,
Maan vi ni rakheya,
Koi sikhe saathon..
Koi sikhe saathon bina gallon jachna,
Loki saare haal puchde,
Ohne pucheya ee nahi,
Jihnu asi dasna,
Loki saare haal puchde,
Kuj ne halat ewe de mere bi
Purva Barva Jun 2020
Jab sab kuch achaa tha,
Mujhe laga wajah thi k,
Mein waqt ke saath tha,
Phir mudke dekha to pata chala,
Waqt mere saath tha!!
cyn Sep 22
kahi phas gyi toh?
galat jagah, galat logo ke beech
agar nikal na paayi toh?

sochne wali baat kuch aisi—
dekhi zindagi, mili unsabse
gaate rehte ye woh geet
ki kaise, kahan se shuru hui kahani.
ab keh dene ke liye hai toh kaafi;
par kya matlab, kya hai kuch azaadi?

ek darr rehta hai, har waqt,
seene mai aise daba hua sa
ki kahin dikh na jaye kisiko,
koi padhna le.
padd gyi pyaar mai aur nikla woh galat?
kardiya kuch jo nahi karna tha; kho baithi zindagi par hakk?
har cheez mai, saans lete hue,
galti se gehri leli aur bhool gyi kaisi aur kyu bharni ye aas.
kho baithi khudko iss duniya mai, kisi aur ke paas?
toh sambhalne kon aayega?
log toh chor dete na saath?
kuch anhoni hojaye, toh lelete ek kadam
peeche, hamesha peeche—
jis raaste aaye the, nikal jaate darwaaza band krke.

bachta kon?
mai, galtiyan, aur woh khamoshi
jo kehti, dheere se, yaad dilati.
yahi hota hai, jab chahkar kareeb aajate hai aanjaan saath.

gehraiyaan kaisi, jinme dubte hue mann lagta hai;
woh khauf, kaha, kisise dil lagane deta hai?
kabhi legaya woh phir, wapas na aaya mudke.
toh bikhre hue kaise rehna hai, ye kon samjhayega mujhe?

jaan se anjaan jo hojaye—
sochne wali baat:
kaise kaise bikhar sakte;
itne saare tareeke, aur wahi purani raat.

sukoon kaha milta hai?
agar intzaar karti rahi toh chalke aayega mere darwaaze tak?
aur mohabbat? dosti? yaari? woh rishte jo bachpan se saath?
unka kya?

jaate jaate rehjate
kuch sapne hai mere bhi.
bass kabhi lagta woh bhi khayali pulao toh nahi.
samajhti nahi, jaldi.
rehti hoon khwabon mai—
kya sach, kispar yakeen?
nahi aata karna, toh na bolpati kya hai dil mein.
thodi ajeeb si hoon;
darti bhi hoon, lekin ladd bhi leti hoon.
bhaagti hue bhi, wapas wahi aakar rukti—
jisse bachkar bhaagi thi.
shayad waqt, waqt sambhal le.

shayad yahi chaabi uss darr ki zanjeer ki;
waqt ke saath, shayad lagna hi band hojaye.

par phir ek choti awaz,
kahi dil ki,
ki aise waqt sab kuch theek hi kar deta.
toh darr hota hi kyu?
aur darr rhega hi nahi,
toh zindagi ka mauka chuna hi kyu?

agar ye waqt chalta chala gya
aur mai reh gyi toh—
kya kabhi karpaungi khudko maaf?

sambhalna khud ko hi hai;
toh kyu banaya ye dil aur kisi aur ke saath rehne ki aas?
ye khwaish jo dedi mujhko—
dekhti hoon unko jo rehte khush, lagte khush;
jiske bhi saath **, lagte hai ek doosre ke liye.
par kya—
kya chun sakti hoon mai kabhi?
dhund sakti hoon, ya band darwaze ke peeche koi intzaar krke, karega ek din darkhwast?
hoh kaisi tum!

— The End —