Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Mandeep kaur Dec 2020
Meri zindgi ka hissa nhi hai mera pyaar..

Whi hai mere jeevan ka adhaar.....
Jo dia mene tumhe.... Tum jtaate ** uska abhaar....
‎are meri jaan... Smjho na... Ye pyaar hai nahi hai koi vyapaar.....
‎tu hai jese.... Baadlo me behtaa chand....
‎bchpan me wo sath chalta suraj....
‎baarish ki wo pehli boond....
‎sukun itna ke teri awaaj sun.. lu me apni aankhe mund....
‎maanti hu hum alag hai or thodhe se alag hai vichaar....
‎par jo do oppsite ko ek krde.... Whi to hota hai na pyaar....
‎or pyaar hi hai mere jeevan ka adhaar....
‎kuch tum smjh jana kuch me smjh jaungi....
‎2 kadam tum bdhana me 10 kadam aage aa jaungi....
‎bina kisi mol bhaav ke tumse pyaar jtaungi....
‎par thodha sa tum mujhe smjhna....
‎meri ajaad soch ko bandhno se mat jkdhna....
‎yu jra jra c baat pe... Dunia ke bnaaye jhuthe riwaaj se.... yu logo ki kahi baato se....
‎tum is paak pyaar ko mere mat prkhna....
‎jab hogi chandni raat me tumhaari chandni me bhigungi....
‎par amaavas ki us raat me banke aaungi tumhaare dil ka kraar...
‎suno...
‎meri zindgi ka hissaa nahi hai pyaar....
‎ye to hai mere jeevan ka adhaar
Mandeep
cyn 6d
ye jo ghoomte hai
kehte hue ki sab likha hai
kya itni aasani se mai maan lu?
bas keh diya – ki likha hai
toh ** gaya, badal gaya sach?

kab tak –
ek baar ko theek, do baar ke liye theek
har baar, likha hai– likha hai pehle se hi sab sambhala hua hai
toh kya hoon mai? ek zariya?
koi khel raha ye khel, aur mai sirf ek – mohra?

parinda woh jiski rooh tak bhi udne mai rehti
uske parr hi kaat do aur bol do – tujhe udna tha hi nahi

jo zeher khakar zinda reh gaye,
usse aadat bhi ** jaati – rukne ki, gir kar uthne ki, sambhalne ki
kaise maan lu ki bas, kisne ek dafa likh diya
jo hona tha, jo hota aaya
woh mai kuch nahi, koi aur kuch nahi

kabhi mann karta inn sabse ladne ka
jhagadne ka
dhoondhne ka,
jaha kuch bhi ye sab likha hua aur usko mita dene ka

lekin kya mai bachungi?
kya mai rahungi?
jo mai hoon, kya waisi ban sakungi?

ye agar ek kahani hai,
aur agar har ek woh insaan jo mere kareeb
aur jiska bhi jaana mumkin, namumkin – jo kuch bhi, jaise bhi
vaise hi
qubool bhale hi na kar saku
ladne ko aur cheekh ko sunne ko
tu rahega?

agar mai in haathon par bani hui ye rekhayein
mita bhi dun
aur jo kuch bhi hai, uska sab ulta kar du
kya woh mere haath mai, meri khud ki kahani
kya siyahi meri hogi?

kya ye meri zindagi hi hai ya kisi aur ki?

aur haan! ek baat aur
abhi suni, padhi aur dekhi
ki do log – jinko aana hota hai ek doosre ki zindagi mai
unka jaana bhi hota hai, jaise hi waqt ka kaanta ghoom jaye
aur ghadi wahi aakar ruk jaye, jaha likhi gayi thi unki kahani

ki kaam hua poora, ek doosre ke liye
ab chalte hai, aur saath reh kar – aas paas hokar bhi na mil sakenge kabhi bhi
jisne bhi is sab ko naam diya,
mann karta hai cheen loon usse jo bhi khushiyaan usko mili,
sirf is ek baat par—

baaki ek darkhwast,
bas ek dor, ek dafa dekh lena jab tu nikle
mat modna, mat mudna, mat dohrana
bas dekh lena
ki haan, jaanta tha tu mujhe

aur mai?
mai toh yahi rahungi
apne liye, hum sabke liye
jo chale gaye, jo jaate jaate reh gaye aur jo hain
un sab ko agar bhar sakti, toh daal deti ek pitaare mai
jiski chaabi sirf mere paas hoti
band kar deti, chhupa deti naseeb aur un taaron se
jo karte hai meri bayaan zindagi
nahi maanti mai



(keh deti hoon, par maanti hoon
bas jaana kisi kisi ka uss aag mai chingari ki tarah
ki lad kyu nahi sakti?
ek baar muqaddar se jhagad ke, sabke khilaaf jaake
usko paa kyu nahi sakti?
kya likha hua hi patthar par lakeer?
taare badalte har pal
kya tab bhi maan lu jo ek baar keh diya gaya?
koi mauka hi nahi, badalne ka?)



sambhal jaungi, tu apne aap ko sambhal lena
khilaaf mere agar hona chahe
toh upar se guzarte hue dariya ko dekh lena
mai sabke khilaaf hokar bhi sabse judi hui
hai tujhme itni taqat? ruk sakta tu kuch pal ke liye hi?

magar dard mile toh mat sehna.

agar jaana sab ko hi hota hai
aur jaana likha bhi hai
aur ye dard, ye pyaar, ye jo bhi hai – baandhe hue doori aur ab gume hue woh haath
jo pakad ke rakhe the ek baar
khoobsurti kaise dhoondhu inme, jab yahi dukhte sabse zyada
har ek woh tukda jo de dete ek doosre ko
milte kaha woh wapas?
likha kuch bhi hoh, karna mujhe wo-hi jo karti aayi hoon.
aur agar mera karna bhi pehle se jayaz hai, toh phir
khauf kaise?
zindagi ne chale jaana jis din jaana hai,
mujhe chalte rehna issi raah par.
cyn Sep 15
khwabon ka toh kya hai,
befikra mohtab,
bada ajeeb khel khel lete hain.

kabhi mere, kabhi tumhare,
kabhi kisi aur ke aakar,
sapno mein rehna mushkil kar dete hain.

maano mere hokar mujhse juda,
hote hote reh se gaye **,
bilkul tumhari tarah.

kya hi kahun,
aahen bharu ki zeher *** lun?

maanti ***, thodi si pagal,
lekin jo bhi hoon,
tere kaabil hoon toh main!

apnana chahe toh zara sa hichkichau bhi na;
keh denge log toh, jo kehna unhe.

tu bata,
saath rahega mere?
khabar kiski, aur kyu hi hogi?

— The End —