Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Megha Thakur Jun 2020
Ye raste jane hume kis or le jate hai,
Zara sa apnate hai kabhi,
To kabhi begane lagne lag jate h.

Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste,
Kis gali kis nukad par mud jate hai,
Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai.

Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai,
Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai,
Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai.

Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai,
Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai,
Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai.

Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai,
Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai,
Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai.

Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai,
Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai,
Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai.

Or agar gaur se dekha aur socha jaye to,
Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
-Megha Thakur
Akash mazumdar Mar 2014
Himmat h to rulake dikhao,
dam h to dil churake dikhao,
dil me pyaar jagake to dikhao,
nafrat to kr ni skte kisise humse pyar jatake to dikhao,
faryad to hum d krte h rab se
ki dil dede hume b jeene ke lie,
par accha hua ni dia,
vrna humne to vo kisiko de hi dia,
hota kisi aaere gare ko,
jise na hoti smjh meri na hota pyaar mujhse,
or itni kimti cheez jo h mera dil,
vo to reh hi jata na uspe....
@ akash mazumdar
Mann Choudhary Apr 2013
PYAR ME JINE WALE KHUNASIB HOTE HAI
PYAR ME MARANE WALO KE BHI NASIB HOTE HAI
AJIB DASTA HAI YE MOHBAT
KOE CHAHE KISIKO ,
KANHA HAR KISI KE AISE NASIB HOTE HAI.........<3
Aarib Al Tamzeed Oct 2024
jis shaks to tum dhoond rahe ** wo to hai mujhe na pata
par ye naam to mera hi hai lekin is 'mera' ka 'main' to laapataa
jab mujhme mai hi nahi hu to kise dhoond rahe ** tum?
kahi aisa to nahi ki hum dono ek hi shaks to dhoond rahe hai?
khair tum to bas ek naam dhoond rahe ** jo ki hazaro hai is jahan me
par mujhe jiska justuju hai wo ek hi hai is aalam me
kahi aisa to nahi ki mai bhi hazaro me hu is jahan me
khair hazar hone ka bhi kya fayda jab itne naayab ** ki kahi na mile
** sakta hai mai to hu kahi aur ye to mera zuban baat kar raha hai
kahi aisa to nahi ki jaha hu mai waha bhi mera zuban hi baat kar raha hai?
kis darya pe hu mojud wo to shayad kisiko na pata
kahi aisa to nahi mai hu hi nahi
ya phir bas mai hi hu aur sab jhooth
mai ye kisse baat kar raha hu kahi ye mai to nahi?
kahi ye dunya bas meri hi ek rup to nahi?
kahi ye nazm jo padh raha hai wo mai to nahi?
ya phir tum hi ** sach aur sab jhooth
phir ye nazm jo likh raha hai kahi ye tum to nahi?
phir ye janab e lafz mera kahi tumhara to nahi?
ya phir tum bhi ** hum bhi hai bas aapne aapne talash me
pata nahi kaha se gir gaye hum itni gehri talab me
kahi aalam e akbar ye to nahi?
kahi jannat-jahannaum ye to nahi?
kahi hum to khuda nahi ?
kahi khuda to hum nahi?
kahi ye to ek sapna nahi?
khair agar hai bhi to hume kya
hum maut ke intejaar me shab o roz
kahi aisa to nahi ki shab bhi hum  aur roz bhi hum hai?
dantte hai ye log ki, ae 'Aarib' ye kya pagal-pan hai?
shayad aisa na ** ki wo log bhi hum hai
zindagi to bas intejaar hai maut ka
kahi aisa to nahi ki zindagi bhi hum aur maut bhi hum hai?
Sk Abdul Aziz May 2020
Kabhi kabar khudko ek bezubaan jaanwar ki tarah mehsoos karta hoon
Dil may taqleef hoti hai par kisiko woh taqleef bayaan nahi kar pata hoon
(Urdu and Hindi)

English translation-
I sometimes feel like a speechless animal
I feel hurt in my heart but can't quite convey it to anyone
cyn Sep 11
woh guhm hi kya,
jo shabdon mein bayan hoh jaye
woh chahat hi kya,
jo aasani se pehlu mein sama jaye
who gaana hi kaisa,
jo sunne wale tak bas ek baar mein pohoch jaye
aur who likhna hi kya,
ko ek baar mein dil ko samajh aajaye

jab tak ye dimaag ka khel na khel le,
tabtak kisiko kaise hi kisiki pehchan hoh paayi hai?

kuch naya, kuch purana
cyn Sep 22
kahi phas gyi toh?
galat jagah, galat logo ke beech
agar nikal na paayi toh?

sochne wali baat kuch aisi—
dekhi zindagi, mili unsabse
gaate rehte ye woh geet
ki kaise, kahan se shuru hui kahani.
ab keh dene ke liye hai toh kaafi;
par kya matlab, kya hai kuch azaadi?

ek darr rehta hai, har waqt,
seene mai aise daba hua sa
ki kahin dikh na jaye kisiko,
koi padhna le.
padd gyi pyaar mai aur nikla woh galat?
kardiya kuch jo nahi karna tha; kho baithi zindagi par hakk?
har cheez mai, saans lete hue,
galti se gehri leli aur bhool gyi kaisi aur kyu bharni ye aas.
kho baithi khudko iss duniya mai, kisi aur ke paas?
toh sambhalne kon aayega?
log toh chor dete na saath?
kuch anhoni hojaye, toh lelete ek kadam
peeche, hamesha peeche—
jis raaste aaye the, nikal jaate darwaaza band krke.

bachta kon?
mai, galtiyan, aur woh khamoshi
jo kehti, dheere se, yaad dilati.
yahi hota hai, jab chahkar kareeb aajate hai aanjaan saath.

gehraiyaan kaisi, jinme dubte hue mann lagta hai;
woh khauf, kaha, kisise dil lagane deta hai?
kabhi legaya woh phir, wapas na aaya mudke.
toh bikhre hue kaise rehna hai, ye kon samjhayega mujhe?

jaan se anjaan jo hojaye—
sochne wali baat:
kaise kaise bikhar sakte;
itne saare tareeke, aur wahi purani raat.

sukoon kaha milta hai?
agar intzaar karti rahi toh chalke aayega mere darwaaze tak?
aur mohabbat? dosti? yaari? woh rishte jo bachpan se saath?
unka kya?

jaate jaate rehjate
kuch sapne hai mere bhi.
bass kabhi lagta woh bhi khayali pulao toh nahi.
samajhti nahi, jaldi.
rehti hoon khwabon mai—
kya sach, kispar yakeen?
nahi aata karna, toh na bolpati kya hai dil mein.
thodi ajeeb si hoon;
darti bhi hoon, lekin ladd bhi leti hoon.
bhaagti hue bhi, wapas wahi aakar rukti—
jisse bachkar bhaagi thi.
shayad waqt, waqt sambhal le.

shayad yahi chaabi uss darr ki zanjeer ki;
waqt ke saath, shayad lagna hi band hojaye.

par phir ek choti awaz,
kahi dil ki,
ki aise waqt sab kuch theek hi kar deta.
toh darr hota hi kyu?
aur darr rhega hi nahi,
toh zindagi ka mauka chuna hi kyu?

agar ye waqt chalta chala gya
aur mai reh gyi toh—
kya kabhi karpaungi khudko maaf?

sambhalna khud ko hi hai;
toh kyu banaya ye dil aur kisi aur ke saath rehne ki aas?
ye khwaish jo dedi mujhko—
dekhti hoon unko jo rehte khush, lagte khush;
jiske bhi saath **, lagte hai ek doosre ke liye.
par kya—
kya chun sakti hoon mai kabhi?
dhund sakti hoon, ya band darwaze ke peeche koi intzaar krke, karega ek din darkhwast?
hoh kaisi tum!

— The End —