Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Na dhan k e daas hote hai ,naa mann ke daas hote hai
Nirasha me v aasha ka, saghan vishwas hote hai
Nazar se dur hokar v, jigar ke paas hote hai
Mohabbat karne wale dil, bahot hi khas hote hai

Ibbadat kaun karta hai,Innayat kaun karta hai
Sabhi hai lootne wale, mohabbat kaun karta hai
Bharamar ki gungunahat se hi, ab har phool darta hai
Sabhi khilwadd karte hai, mohabbat kaun karta hai

Mohabbat apni har aashiq, pe jaya hum nahi karte
Ki aise har kisi pe dil,  lutaya hum nahi karte
Mai kahti raat rani se, meri awaj ko sunkar
Chale aate hai khud bhawre, bulaya hum nahi karte

Hume apni mohabbat tum, gawara mat samajh lena
Aji ye dil humara hai, tumhara mat samajh lena
Kayamat ki nazar hai, humnazara mat samajh lena
Kinara kar rahe hai hum, Isahara mat samajh lena
Copyright© Shashank K Dwivedi
Web- www.researchbits.com,skdisro.weebly.com
[email protected]
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
MdAsadullah Dec 2014
khayalo'n ki kashti ka koi nakhuda nahi hota.
khwabo'n ke samandar mei'n kinara nahi hota.
kashti ko samandar me kinara miljayae.
Jo meri roshnaai ko kagaz ka sahara miljayae.
Aabid Rumi Apr 2017
Dil mera hadh main nhi
Tumpay he toh behaknay laga
Ulja saa tha,issy say pehle
Tumsay millkay toh sawaarnay laga
Hosh say zaida, khaboon mai rehnay laga
Har lamha tuj he pay, guzaarnay laga

Maan bhi lo  - pehchaan  lo  -iss dil ko toh ab jaan lo
Tere he hissa  hoon mai - batka hoon koi kinara toh do

Le chali oo naazni, dil mera kahaan le chali
khumar yeh nhi  koi , bas mai  nhi hai dewaangi

shammo shubha tujpay he luttey rahai
dil ki arizoo nigahoon say kehtey rahai
rahoon mai sang tere hum chalnay laga
bewaja yun .khamakha muskuranay laga

sansu mai ab,tu rehnay lage
zindagi ab tummay he zingdagi kehnay lage

ikraar hai -izhaar hai -mujpay tere chahat sawaar hai
utarta nhi -sambhalta nhi -mujpay tera nasha lazawaal hai

le chali oo bereham, karaar mera kahaan le chali
bebasi yeh koi nhi,bas main hi  hai awaargi
                    
                    written by: Aabid Rumi
keep writting until u write something extraordinary
Siddharth Ray Jun 2019
Humse manga hota,
Itihas main kya rakha hay,
Shuruat kahaniyoon ki,
Hum se hi hui thi.

Kuch kahaniyaan shabdoon main kaid hui,
Aur kuch *** leheron main phass
Jab sagar bhi hum, kinara bhi hum
Unki mulkaat, hum se hi hui thi.

Humse na mile toh kya dekha,
Tum raahi **, hai raasta lamba,
Inn raston ki hadd ka andaza
Hum se shuru aur khattam bhi hum pe hui thi.
cyn Sep 9
yaari agar shaam se kar lu,
toh kahin raat rooth na jaye.


har waqt satate hue,
savera bhi kehta ab toh—
kya chahti hoh tum humse?
kisko chunogi, agar chunna hoh hamesha ke liye?

  khayalon mein kya tumhare?

khayalon ki baaton par aajaun,
unhe manana aata toh
baatein shayad dil ki hi sunte woh.

kehte hai magar kuch,
kar dete hai kuch aur.

aur lafz? wahi jo bolti rehti hoh tum?

lafzon ka dohrana
nishaan hota hai khamiyon ka,
par woh maujoodgi hi kaisi
jisme khamiyan na hoh.

tumhe bataun ek raaz ki baat,
bolna nahi kisise.
rakhti *** isko dil ke kareeb—
ek chahat hai ye bhi, kaafi ajeeb.

jo meetha zeher milta sirf shabdon mein,
bhar deti hoon usko,
har unn galiyon se nikalte hue,
jinki raah ek waqt tak saath thi,
par phir bichhad gaye—
dhakka dekar mujhe,
darwaze band unhone kar diye.

nikal padi mai wapas,
wahi rahein, kuch nayi toh kuch dabi hui, khamosh si.
maano chalte hue unpar, kho gaye log.
har ek raahi jo bhi mila,
baatein kisi se hoh na payi.

phir thak kar baith gayi—
bhaagne ko zindagi bhar kaafi,
kabhi rukna bhi kya ab jaayaz nahi?

baithe-baithe, ek aisi jagah mili,
jahan dekhne ko dhalta hua sooraj
aur deewangi ka ek parda tha.
dekha maine, kaise woh milte kuch aise,
sirf lamhon ke liye,
sambhal lete woh bhi ek doosre ko.

kya mujhe bhi koi—?

kabhi-kabhi aati hai ek junooniyat,
ek ummeed, jo bas aahon mein bhar leti hai apne,
aur phir wahi khwab:

dekhte-dekhte, cheen leti main unse
woh do pal ki khushiyaan.
jab milta ek kinara dusre se,
jab bhi woh rokte doosre ko bikharne se—
kuch iss qadar kaabil hona—
tere liye?

kisi din, ban jana iss layak
ki keh denge ye bhi:

“bachke rehna usse,
jo aati hai raat ki tarah,
lejati hai har ek woh sapna
jo sona na de.
aur de jaati hai
meethe se woh kuch khwab—
woh jo kabhi rone bhi na de.”


aur rahi baat unki,
jo mere hokar bhi—

zameen, mausam, aur ye aasmaan,
raat, savera, aur dhalta sa ye jahaan—
mere hi toh hai.
kyu hai hum aise

— The End —