Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ravin Jul 2018
1.
Dard ko kaagaz *** utarna aata hota to hum bhi galib hotee, magar humara dard to sinee mai dafan hai !!

Hum Galib to nehi magar likhne ka junoon rekhte hain, kisi aur ke dard mai apna dard dhoond liya kerte hain.....

2.
Duaen jhoot ko sach banane ke liye mangi jatii hai !!! Sach ko jhoot banen ki koi fariyaad nehi hoti..

3.
Zakham sabke hote hain,magar khuredna koi nehi chata..
Yee hai maasukha jisee chodna koi nehi chaataa..
Agar zahkam mere tum dekho to zakham saha nehi jata..

4.
Aaj phir usne kaha plz understand ... Mai na jane kyon uskii naa mai haan samajh gya, phir dil ko bewafa samajh gya..

5.
Mai iss umeed mai dooba tuu bacha lega ... abb iske baad kya mera intehaan lega

6.
Aaj tune phir us mod *** sath choda, phir mekhane ke bahar haath choda ... hum is mod see is kadar wakif hai, kii lagta hai tune phir ghar laa choda....

7.
Dhunvee kii aadat sii hoo gyee hai nashe kii cahaat sii hoo gye hai...
Tuu na rehe to kya hua tere bina jeene kii aadat sii hoo gyee hai...
pnam-TX Jan 2020
Roman-Hindi

kal  taq thaa khaali  kaagaz yeh dil
   mile aap thoe rachi yeh khoob ghazal
   raah thoe thee par thee na koi manzil
   chalen saath thoe hai har raah saral


English Translation

This heart a blank paper till yesterday
You came along poetic verses it communique
Roads were aplenty but no destination
Walk with me every stroll a simplification
Dated 1992
BeeVaishnavi May 2023
Haal kya hai janab ka?
Jawab kya hoga,
Iss sawal ka?
Zara sa mann duniya mein, Zara sa mann kaagaz ke panno mein,
Hum to kud gumshuda hai,
Humare in khayalon mein।
Taa'miil-e-bandagi ke hinaii-kaagaz par
Ta-umr kaaliik pothti hain maine
Na theek se kufr kar saka hoon
Na theek se ibaadat hui hain

Mashq-e-tasawwur me baa'is-e-hasraton ka
Ta-umr qatl-e-aam kiya hain maine
Na theek se aabaad ** saka hoon
Na theek se barbaadi hui hain

Rishton ke bosiida sahn-e-gulzaar se
Ta umr bas kaante hi jode hain maine
Na theek se dosti kar saka hu
Na theek se dushmanii hui hain

Tark-e-ta'alluqaat ke shatranj-baazii mein
Ta-umr faqat maat khaayi hain maine
Na theek se dhoke khaa saka hu
Na theek se dhokebaazi hui hain

Mere gunaaho ki salaabat ke khayaalon mein
Ta-umr 'aalam-e-barzakh me guzaari hain maine
Na Khuuda se ruu-ba-ruu ** saka hu
Na Ibliis se mulaqaat hui hai

— The End —