Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Shrivastva MK Jun 2015
Meri zindagi gumnaam ** ***
tumse bichhar kar,
Mar jayenge hum ab ro ro kar,
Ye dil bhi najane kyon ruk ruk ke kah raha hai,
Kyon rula rahe ** tum mujhe bar bar ek naya dard bankar,
Ek naya dard bankar,

Tum to bhul gye wo purani batein,
Reh gye mere paas teri ye dard dene wali yaadein,
Kyon jhuk jati teri ye nazare mujhe dekh kar,
Bhula denge tumhe hum ek anjaan bankar,
ek anjaan bankar..
Vineeta rai Dec 2018
Log Kehte hai jo pyar karta hai...
Wo hi gussa karte hai....
To kya gussa aur beizzat Karne Me...
Wo farak nahi janta hai....
Kisi ke liy pyar Me gussa karna jayas hai....
Par...par...
Kya ush pyar ke naam par ushe jalil karna ulta kehna Abuse karna bhi pyar me jayas hai...
Janab Agar ishe pyar kahte hai to dur hi raho aise pyar se...
Jo khusiyo ke jagah udaasi de...
Khusi ke jagah gum De...
Izzat ke bajae beizzat kare...
Aur last me galti accept krne ke bajae ush glti ko aisa naam de...
Pyar me dono partner ko imp. Dena jaruri hai...
Ek jhuke to ye nahi ki app hmesa ushpe ungli uthao ushe jhukao...
Jb tk wo jhuk rahi thik hai jis din wo ye sochne lagi ki hmesa wo kyu...
To kuch bhi kar loge wo laut ke nahi aaegi....
Waqt se pehle kadar Karna sikh lo..
Aksar hame jiski kadar nahi hoti wo kadar tumhe waqt dilata hai...
Aur tb tak bahut der ** jati hai...
Relationship ek dhage ke trah hota hai...Jada khichne par tut jata hai...ushe bacha ke rakho...hmesa samne wale ko jhukta mt dekho kv khud v jhuko relationship me bus ek nahi 2 log hote hai dono ka farz bnta hai....
Dharmendra Kumar Jun 2020
Tujhako bhi ijajat du
Tere dil se ijajat lu
Ki umar bhar tujhe chahu
Ki umar bhar tujhe chahu
Bhale hai
Kuch duri hai
Mera hi  to kusur hai
Ki har subah khuda se bas tujhe maangu
Ki umar bhar tujhe chahu
Nazdikiyo bhi narazgi
** gayi kuch bhul se
Jhuk ke tere samne
Ki mai tera sajda karu
Ki umar bhar tujhe chahu
Rohaniyat Feb 9
Pahadon Ke Piche Ki Duniya

Behti nadiyan, geet sunaye,
Lehron mein chandni angdai le aaye.
Sabz wadiyan baatein karein,
Hawaon ki palkon pe sapne dharein.

Chhupaa hai yahan ek jahaan naye rangon ka,
Jahan har manzar hai angan guliston ka.
Aasmaan bhi jhuk kar kare guftagu,
Badalon ki chadar tale khwab ** jaaye tu.

Kya yeh haqeeqat hai ya ek dastaan?
Ya hai mohabbat ka koi paighaam?
Milega wahan ja kar hi inka jawab,
Jahan har shai kare husn ka izhar.

Kehte hain, yeh jannat ka ek aaina hai,
Jahan jamal bhi hai aur kamal bhi shana hai.
Hawaon mein ghulay hain afsane kayi,
Har phool sunaye naghme naye hi sahi.

Barson se thi jis pal ki raah,
Aye rohaniyat! Dekh ab woh nigah.

— Rohaniyat
cyn 3d
ummeed to humein bhi thi,
ki hamara likha padhne wale honge kaafi,
par kahan — koi chahta?
likh du shayari agar, kahan kisi ko hai raas aata.

likhne se kuch banne tak ka safar,
maine bhi chaha,
par dekhu jab kisi ko
padhte hue,
sochti *** — kya ye chahein padhna mujhe?

aur jo maine likha,
woh toh kabhi pohonch hi nahi paaya,
jiske liye tha, us tak se pehle hi
usne raasta badal diya.

aur mera raasta yahi tak tha,
ab likhna — ummeed ke liye ki koi padhe,
khareede meri woh kitaabe jo padi hui kahin.
ummeed par duniya kayam hai magar,
iss baar shayad, shayad duniya ke saamne mai jhuk kar khadi,
ki likhungi toh apne liye.

aur agar kahin kisi ko mil jaye
padi hui meri koi bhi kitaab,
toh bas ummeed yahi, ki woh phek na de,
rakh de wapas, bhale laa kar de wapas.
phekna nahi — kyunki har ek shabd mai ***,
aur jo likha, uska har ek zariya meri zindagi ki dor se bandha.

todna nahi.

padhne wale nahi mile toh kya,
likhna toh nahi chhod sakti.
aur shayad padhte bhi unko hi,
jinki jaanne wale bohot, mohabbat karne wale bohot.

aur koi aarzoo?
ek aur khwaish —
bas padh le ye tu, aur mil jaye mujhe meri khushi wali.

bikne ke liye likhna,
kya ghera bandi.
shabd-kosh hi nahi mere paas,
toh phir kaisi tukbandi.

bolne mai aati sharm,
nahi chahti kehna,
mat khareed jo bhi maine likha.
bas padh ke bata de, ban ja ek mohra.

chahti *** duniya dekhe — lekin parde ke peeche se,
bahar nahi dikhna,
nahin hi banna mujhe koi katputla.
thak chuke hoh shayad.

— The End —