khoobsurti uss bala ka naam,
jiske rehte, bade se bade log bhi
kuch na ban ske,
ladte, jaghadte reh gye,
sirf chahne, paane ko woh chiz
jo unhe khoobsurat lagi.
bhala aisi chhaya hone ka kya fayda,
jab dekhne ko sab dekhte,
lekin jaan ne wala koi nahi.
kehne ko sab tumhare apne,
magar maan ne aur sunne wala koi nahi.
toh aisi khoobsurati bhi kya,
jab chahte hue koi dekhe bhi na
ki andar dil ka kya haal.
phool toh maano mariyat par bhi saja dete,
toh unka moh aur uss nazariye se dekhna
phool na kaho,
jab nahi aata tumhe,
kaaton ko apnana.
bass baat kuch aisi hai, ki tum phool aur mai kaata
saath toh reh hi sakte hai, nahi?