Ki lafzo se jo bayan karu mai aaj
Vo baatein purani nahi
Ki baat karu agar un yadon ki
To Vo yaadein purani nhi
Mana,
Mana ki kayi galti Kari hai mene
Mana ki shayad dukhaya hai tumhara dil nhi mene
Mana ki na samaj paya teri man ki baaton ko
Mana ki na samaj paya tumhare isharon ko
Na jane kyu ham un baaton mai pade
Na jane kyu un halato se lade
Na jane kyu na samjha ye ishq ko
Na jane kyu na mana is ishq ko
Na jane kyu khud yun kho sa diya hai
Na jane kyu jan ke andekha kiya hai
Na jane kyu...
Kher,
Ab raat gayi baat gayi
Sab kuch hai badal gaya
Is samay ki doud mai khud ko khi piche sa chod diya
Ak khula aasmaa, ak aangan
Aur bs bacchi teri yaadein hai
Jee raha hu unhi ke sahare
Agar sach bolu to
Ab na kat ti ye ratein hai
Pr ab na kuch aur ** payega
Bacha ye akela pan ab mera hamsafar ban jayega
Rahi baat agar ishq ki to adhura vo yun reh jayega
Ki bayan kare agar koi
Na panno pr bhi vo sama payega.....
Hope you like it