Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Phoolmatee Dubay
Queens, NY    Poems mean more to me than just words.

Poems

Snigdha Banerjee Jul 2015
Iss eid pe tujh ko main kya bhejoon,
koi jugnuu,
koi taara,
koi sapnaa bhejoon ?

Koi phool bhejoon ad’khilaa se,
koi umeed,
koi aas,
koi nazaara bhejoon ?

Chaand bhejoon tujhe is eid pr
ik khushbuu,
ik rang ka istaara bhejoon ?

Aye mere dost !
roshni ki rang ki muskaan bhejoon ?
ya apni likhi koi shayari  bhejoon ?

Apni aankh ka koi moti teri nazar karoon,
Ya hathon se maangi koi dua bhejoon ?

Phoolon se koi titlii ki mohabbat bhejoon,
kisi bhanwre ki lagan,
us ka tarrana bhejoon !

Kisi shamma ka jalta hua daaman bhejoon,
Ya baarish ki hasti hui boondain bhejoon ?

Mere hathon main ik aas, umeed aur dua hai,
iss eid pe main tujh ko bass itna keh doon,

ke tum jo chaho
Woh sitaara mil jaye,


Tujh ko iss eid pe
Koi tumhara mil jaye..
Eid **___** !!!!!!
Aap
Ek naadan parinde ka haath aapne thaama,
Apne dil mein diya sabse khubsurat thikana.

Phool ki mehak ko jaata nahi churaya.
Suraj ki kirne ko jaata nahi chupaya.

Khuda ne itna sikhaya hai mujhe,
Aapke liye dua karu khud se pehle.

Mere dil ka dard kisne hai dekha,
Ye dost muskaan ke peeche ki kahani padh leta.

Vaada karte hain ye rishta dil se nibhayenge,
Aapki shiddat mein hadd se guzar jayenge.

Dil se maangi thi dua rabb se,
Qubool hui ibadat mulakaat hui jab aapse.

Duniya ki daulat hey ishwar nahi chahiye mujhe,
Sabse anmol tohfa mila jo jud gaye sanjog unse.

Dadhkano ki dadhakti har awaaz hai sirf unki,
Pyaar mein tabdil ** gayi hamari dosti.

Chand sa hai mukhda,
Mere jigar ka tukda.

Bin tere jiyenge ab hum na ek pal,
Tujhse juda hai aane wala har kal.

Bhut sataya humne aapko aapka jawab dene mein,
Hanji hum bhi chahte hain aapko aapki shiddat se.

Jud gye dil se dil tak,
Mujh par sirf hai aapka hakk.

Rooh se rooh ka rishta hai hamara,
Tujh bin ek pal nahi humein gavara.

Chadha diya hum par rang apna,
Poora hua ek pyaara sa sapna.

Aasman mein jab tak sitaro ka hai basera,
Ek dusre ka hain hum sahara.

Meri zindagi ke saaton janam hai aapke naam,
Aapke hi rahenge hum bheja khuda ko paigaam.

Pyaar mera rago mein lahu ban daude,
Apna sab kuch tum par qurbaan kar de.

Tum saath ** tou zindagi mein hai bahaar,
Tere bina zindagi bhi hai meri bekaar.

Khuda kasam har saans sirf tumhari,
Tumse hi judi hai zindagi hamari.

Rabb jaane kya lekh likhe unhone,
Milaya hai jab aage bhi whi sambhale.

Mai teri ** gayi haa mahiya,
Har kadam saath hain hum saathiya.

Rabb se pehle tumko yaad kiya,
Apna dil tumhe de diya .

Sacchi mohabbat tumse kar baithe,
Pta nahi chala kab hum aapke ** gye.

Zindagi se judi hai hayat aapki,
Aapka pyaar jaise maa ki thapki.

Har mod par saath hai aapke,
Chahe waqt kitni karwat badal le.

Aapki pagli sirf aapki hai yaara,
Tum bin kaun hai hamara.

Intezaar hai besabri se humein us din ka,
Jis din aapke naam se judega naam hamara.

Aapka har dukh hamara hai sajna,
Hamari har khushi par naam hai aapka.

Tumko bhi hai khabar,
Aye mere humsafar.

Maut ki gaud mein sone ke baad bhi,
Alwida nahi hai kehna humein kabhi.

Gujarish hai khuda se ,
Kabhi juda na karna unse.

Ek sang hi mitti ki chadar odh so jayenge,
Sacchi mohabbat dil se nibhayenge.

Mohabbat se kai upar hai mohaabat aapse,
Aisa koi shabd nahi jo ise piro ske.

Chaha tha humesha se humsafar mahadev jaisa,
Qubool hui dua hamari jo mila mahiya aisa.

Dilon ki awaaz mein hai itna asar,
Yaad kare joo ** jaati hai khabar.

Ibadat karne ka wo khubsurat lamha mile,
Tou hum apne humsafar  ke saamne sajda kar le.
Shrivastva MK Jul 2015
Tere pyaar me roya hai maine,
Teri yaadon ko sajoya hai maine,
Teri khushi ke liye maine sanam,
Teri rahon me phool bichhoya hai
maine,

Tujhe apni zindagi banaya hai maine,
Apni sanson me tujhe basaya hai maine,
Tere ishq me bechain dil ko
badi muskil se samjhaya hai maine,
dekh tujhe in aankhon se
Khushi ke aansoo bhi bahaya hai maine,

Teri sapno ko apne aankhon me sajaya
hai maine,
Tere dard ko apna dard bhi banaya hai
maine,
Tujhe dekhne ki hasrat leker
Kitne thokar khaya hai maine,
Najane kitne thokar khaya hai maine...