Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member

Members

Daniel Lee Waajid
Rankin, Pa.    I love a good poem that takes the imagination to a level of creativity and exciting images. I, a person of vivid Imagery has love …
Dubai   

Poems

Shrivastva MK Oct 2015
Meri zindagi aaj udas hai,
Ye Khushi ke pal bhi mujhse nirash hai,
Tut jate hain wo har sapne,
Jab tutata kisi ka vishwas hai,
Jab tutata kisi ka vishwas hai....

wo khile Phul aaj murjha gye hain tujhe yaad kar,
Kyon ojhal ** gye ** tum in aankhon me aansoo bhar,
Sisak-sisak ke puchh raha hai ye dil mera,
Kyon juda ** gye wo meri hansi bankar,
Meri hansi bankar...

Us andheri raat ko bhi teri raushani ka intejar hai,
Tujhe dekhne ke liye mera dil bhi beqarar hai,
Na chhup jana un ghane badalon me,
Ye sochkar ki meri muskurahat kisi ke liye khash hai,
Kisi ke liye khash hai...

Ban jaoo teri aansoo
teri aankhon me hi mera wash **,
Khushi ** ya ** gam,
Har waqt har pal tujhe mera saath **,
Es pal ko bhi us pal ki lagi aas hai,
Meri zindagi aaj udas hai,
meri zindagi aaj udas hai..
Purva Barva Jun 2020
Chalo aaj kuch naya sikh lete hai!
Jis vakt ko roz dhoondha karte the vo mil hi gaya hai,
To Chalo aaj kuch naya sikh lete hai!
Har roz jis shauukh ko bolte the yaar vakt hi nahi tere liye,
Chalo aaj use bhi kuch vakt de dete hai!
Har baar kisi ko unsuna kar dete the yah keh k ki yaar vakt nahi hai,
Use bhi thoda sa aaj kuch sun lete hai!
Kisi ke kaam mein hath bata lete hai thoda sa,
Ya kisi ke saath yuhi kuch der baith jate hai,
kabhi jo tumhare waqqt ka intezar karte the,
Chalo aaj unhe bhi pura waqt de dete hai!
Fir shuru ** jayegi zindagi, to fir wahi kahenge ki vakt nahi mere paas,
To aaj jo waqt mila hai use thoda sa jee lete hai,
Chalo aaj kuch naya sikh lete hai!